Posts

Showing posts with the label Hindi poem

ISHQ

Image
  Ishq, Kamiz pe laga vo esa dag Jo Jane ke baad bhi chhod de nishan. Ek esa ehsaas, Jo mukkamal ho to jannat e firdaus Aur na ho to dard e dozakh. Ek esa didar, Jo kiya to mutmain Varna muntazir. Ek esa saath, Jo mila to hum rahi Varna gumnami. Ek esa aagaz, Jo bana de ameer Varna kr de hakir. Khair, Mohabbat e samandar Na baya ho lafzo mai Akir kaar, Jang e Ishq mai Jo Jeeta to zile ilaahi Varna hai log zinda bankar khaani . ~Rashida

Alfaaz

Image
Alfaaz , Alfaaz to sirf Alfaaz hai, Pr agar chal gaye to vo talvar hai, Aur chhu gaye to zakhame ruzaav hai, Samaj gaye to ahesaas hai Aur nahi samje to bekaar hai, Alfaz to aakhir alfaz hai. Alfaaz hai to hadis hai Alfaaz hai to quran hai, Alfaaz se hi kayenaat hai, Alfaaz se hi kayaamat hai, Alfaaz to aakhir alfaaz hai. ~Rashida

Kalam!

Image
  Kalam! Meri pyari kalam Jb duniya thi bekhaber Tb tujeh to thi meri fikaar Jb duniya sunne lagi mujeh Tb tune roka mujeh.. Kyu Kalam kyu! Karu gussa ya kahu shukriya!!! Kalam!! O meri pyari Kalam! Janti hu pr anjaan hu Tere waqiye ko bhul ke duniya mai azaad hu Zindagi ke iss padav mai tuj se anjaan hu Phir Na jaane kyu lagta hai bejaan hu. Kalam! O meri pyari Kalam! Baar baar lagataar Arre, har baar tujeh chhod aayi kasti mai, Phir bhi na jaane kyu tu lot aati hai meri basti mai, Tu hi Mera shikva, Tu hi meri shikayaat, Kya tujeh samju tohfa kisi ka Ya samju mashwara khuda ka. Kalam! O meri pyari Kalam! O meri maayusi ki zikaar, Keh rahi hu, Ruk jaa.. Thum jaa.. Mat ban intni jazbaati, Selaab ko abhi waqt hai Paani abhi kum hai. Kalam! O meri pyari Kalam! ~Rashida